रविवार, 17 मई 2015

**ghamzada***

Ab to zara muskura le aye dil-a-nadaan
Geet koi gunguna le aye dil-a-nadaan

Teri khamoshiyon se parinde bhi khafa rahte hain
Fir kahi tu dil laga le aye dil-a-nadaan

khuda se chand bhi karta hai shikayat teri
Kuchh pal to khushiyaan mana le aye dil-a-nadaan

Waqt ka kya hai badal jaata hai har subeh
Tu sadiyon se nahi badla aye dil-a-nadaan

Hain kai shay tere jaise ya tujhse zyada gham me
Chal kisi ghamzade ka dard sun le aye dil-a-nadaan

Previous Post
Next Post

About Author

0 comments: